Friday, August 19, 2011

Awaargi

Bechain hoon, to karaar hai Awaargi,
Mayoos hoon, to aaram hai Awaargi
Jeeta hoon, to firta hoon
Kaun kehta hai ki bekaar hai Awaargi


Kush hoon, to milaap hai Awaargi
Josh hai, to azaad hai Awaargi
Jeevan hai to fitrat hai
Is fitrat ka naam hai Awaargi

Koi tehraav ki talash hai Awaargi,
Koi sailaab hai, samandar ki aas hai Awaargi
Yeh jeevan hai, to fir jeevan hai (Reincarnation)
Khuda ki raah ke pehchaan hai Awaargi


Author: rakesh (copying prohibited)

2 comments:

  1. waah waah !!! kaam kar rahe ho ki bas awaargi hi chal rahi hai ?? :P

    ReplyDelete
  2. Hum kahin na bhi jaye, lekin mann to brhaman karte he rehta hai. Mera tatparya woh tha.. samjhe!!

    ReplyDelete